Qisas ul Anbiya - Hazrat Eesa (a) ka Qissa - Story of Prophet Eesa in Urdu - IslamSearch
IslamSearch IslamSearch
1M subscribers
795,466 views
8K

 Published On Jun 30, 2014

Nuzool Isa (Hazrat Eesa) Alaihe Salam Quran majeed ki roshni me


Hadees: Irshad Bari Taala hai: Wo (Isa A.S) bhi sirf banda hi hai jis par hum ne Ahsan kiya aur isey Bani Israel ke liye nishaani banaya. agar hum chahtey tou tumhare jaga farishton ko zameen ka janasheen kar detey aur yaqeenan wo (Isa A.S) Qayamat ki nishani hain. tou logo is mein shak na karo. Surah Al Zukhraf 59-61

Hadees: Raas al mufasireen Abdullah bin Abbas (R.A) mazkora aayat ki tafseer mein farmatey hain: Bilashuba wo Qayamat ki alamat hai. yaani Hazrat Isa Ibne Mariyam A.S Qayamat se pehle zahir hongey. Masnad Ahmad 329-4 Ibne hibban 228-15

Aur in (yahoodion) ke is qoal ki wajah se ke hum ne Allah ke Rasool maseeh Isa bin Mariyam (A.S) ko qatal kar dia (Allah ne in ko maloon kar dia). halankey naa tou Unho ne isey qatal kia na sooli charhaya balkey in ke liye waisi soorat bana di gayi thi.

Bilashuba Isa A.S ke mutaliq ikhtalaf kerne waley shak o shubha mein hai inhe takhmeeni baton ke siwa koi yaqeeni ilm nahi aur yeh yaqeeni (baat) hai ke unho ne isey qatal nahi kia balkey Allah Taala ne inhe apni taraf utha lia hai aur Allah Taala bada zabardast aur puri hikmaton wala hai. Ahle kitab mein se koi bhi aisa nahi bachega jo Hazrat Isa A.S ki wafaat se pehle un par iman leaye aur wo roz e Qayamat un par gawah hongey. Surah Nisa 4:107-109



Nuzool Maseeh Alaihe Salam Aahadees ki roshni me

Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne irshad farmaya: Qayamat qayem nahi hogi hatta ke tumhare darmayan Hazrat Isa bin Maryam A.S hakim aur adil ban kar nazil hongy. wo saleeb ko tor dalien gy, khanzeer ko qatal karenge, jiziye (aur jang) ka khatma karenge aur phir maal bakasrat hoga hatta ke isey qabool kerne wala koi nahi hoga. Sahih Bukhari: Kitab ul Muzalim 2476

Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne irshad farmaya: Tumhare naseeb kaisey (acchey) hongey jab tumhare darmayan Isa bin Maryam A.S nazil hongey aur tumhara imam (is waqt) khud tum mein se hoga. (yaani Imam Mahdi R.h). Sahih Bukhari - Kitab ahadees Al Ambiya 3449

Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne irshad farmaya: qasam hai is zaat ki jis ke hath mein meri jaan hey, zaroor utrien gy tum mein ibne maryam a.s hakim adil ban kar phir wo saleeb torien gy, khanzeer ko qatal karenge, jaziye ko mokoof kar denge phir maal o dolat ki kasrat hogi hatta ke isey koi lene wala nahi hoga aur (halat yeh hogi k) ek sajda kar lena dunia aur dunia ki tamam cheezon se behter hoga phir Hazrat Abu Huraira (R.A) ne farmaya ke agar chaho tu yeh ayat perh kar dekh lo.

Aur Ahle Kitab mein se koi bhi aisa nahi bachega jo Hazrat Isa A.S. ki maut se pehle in per iman na laye. Sahih Bukhari - Kitab Aahadees al Ambiya 3448


Note: Nuzool-e-Isa A.S Qayamat ki aakhri chand ek badi badi nishanion mein se hai jis ka waqoo tahaal zahir nahi huwa.

Hazrat Isa A.S. ko rooh maa al jism zinda asman per utha lia gaya tha aur Qayamat se pehle isi tarah zinda dobara utaray jayengey.
Hazrat Isa A.S ke nuzool ke waqt tamaam Isai in par iman la kar islam qabool kar lengey aur jo islam qabool nahi karenge wo halakat se dochaar hongey.
Hazrat Isa A.S. jab aasman par uthaye gaye they tou Nabi they lekin Qayamat se pehle Khatim ul Nabeyeen Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke Ummati aur sahaabi ban kar tashreef layengey, mustaqil Nabi ki hasiyat se nahi.
Hazrat Isa A.S. khurooj e dajjal aur zuhoor e Mehdi R.H ke baad nazil hongey.
Hazrat Isa A.S. kisi Namaz ke waqt utrien gy aur aghlab guman yehi hai ke wo Namaz e fajar hogi.
Hazrat Isa A.S. 2 farishton ke paron par apne baazu rakhey demishq ki mashraqi janib (kisi masjid ki) safaid minar ke paas utrenge.
Hafiz Ibne Kasir R.H farmatey hai ke yeh jamia Ummvi ka Safaid pathron se tayar karda wo minar hai jisey 741 hijri mein Isaion ke maal se tayar karwaya gaya kyon ke unho ne isey shaheed kiya tha. (bataur tawan in se tayar karwaya gaya) aur yeh Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki naboowat par wazeh daleel hai.
Hazrat Isa A.S Imam Mehdi ki iqtada mein Namaz ada karenge.
Nabi Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne apni Ummat ki rehnumai ke liye Hazrat Isa A.S. ki kuch alamaat bayan farmai hai jinhe dekh kar har musalman balkey har Isaai bhi in par iman layega, chand ek alamaat yeh hain.
Frishton ke saharey aasman se nuzool karenge.
Hazrat Abdullah bin salam farmatey hai ke Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) aur Hazrat Isa A.S ki tourat mein yeh sifat marqoom hai ke Hazrat Isa A.S Nabi Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) (ki qabar) ke sath madfoon hongey. (Sunan Tirmizi 3617)



#AmbiyaQissa #QuranQissa #QuranStory #HazratEesaStory #hazratEesa #EesaWaqia #EesaQissa, #QissaHazratEesa #StoryProphetEesa #StoryIslam #IslamStory #HazratEesaStory #HazratEesaWaqia #HazratEesaQissa #QissaIslam #QisasulAmbiya #AmbiyakaQissa #HazratEesa

show more

Share/Embed