Schizophrenia क्या है, क्यों होता है और इलाज क्या है ? || schizophrenia in hindi| schizophrenia ilaj
Dr. Praveen Tripathi Dr. Praveen Tripathi
1.01M subscribers
384,941 views
9.7K

 Published On Jan 17, 2023

Schizophrenia क्या है क्यों होता है और इलाज क्या है || स्कित्सोफ़्रीनिया ki puri jaankari| Schizophrenia in hindi| Schizophrenia in Urdu| Schizophrenia ke lakshan
Sometimes schizophrenia is misspelled as sijophrenia or sizofreniya or sezofhrenia.

For appointments at Renowa Care, call - 9013821178, 9818083017
Website- https://www.renowacare.com
Email- [email protected]

Depression course: Depression se bahar nikalne ke liye ab aap Dr. Praveen Tripathi ka course ko join kar sakte hain jismein khud se CBT techniques (cognitive behavioral therapy) ko use karna sikhaya jata hai.

Course ko join karne ke liye iss link par click karein- https://courses.mindsolves.com/s/prev...

For appointments at Renowa Care, call - 9013821178, 9818083017


#schizophrenia #schizophreniainhindi #schizophreniainurdu #schizophreniailaj #schizophreniaawareness

Schizophrenia kise kehte hai ? Schizophrenia ki bimari ke lakshan kya hote hain ? Schizophrenia ke common symptoms kya hain ? Schizophrenia me delusions aur hallucinations ka kya matlab hai ? Delusion kise kehte hai ? Hallucination kise kehte hai ? Schizophrenia kyu hota hai ? Schizophrenia hone ke kya kaaran ho sakte hai ? Kya Schizophrenia ka ilaaj ho sakta hai ? Schizophrenia ka treatment kaise kiya jata hai ?

Chapters
00:00 Schizophrenia kya hai?
00:20 Schizophrenia Kitna common hai?
00:50 Schizophrenia young age me hota hai
01:00 Schizophrenia ke lakshan kya hain?
01:20 delusions kya hota hai?
01:55 Delusions of reference kya hai?
02:19 Auditory Hallucinations kya hain?
04:26 Schizophrenia ka karan kya hota hai?
07:03 Schizophreniaka ilaaj kya hai?
10:00 Schizophrenia theek ho sakta hai?
11:30 Depression se bahar kaise niklen?

Iss video me Dr. Praveen Tripathi ne Schizophrenia bimari ke baare me detail me bataya hai. Schizophrenia ek gambheer mansik bimari hai jo Hindustan me lagbhag 1.41% logo me paai jaati hai. Ye bimari aam taur par young age me he shuru ho jaati hai jab vyakti 18-20 saal ki umar ka ho. Purusho me mahilaao ki tulna me lakshan pehle dikhne shuru ho jaate hain. Agar lakshan ki baat ki jaaye to Schizophrenia me Delusions aur Hallucinations ko main symptoms maana jata hai. Inhe psychotic symptoms bhi kehte hain. Delusions me vyakti behki behki baatein karne lagta hai, usse lagta hai ki kuch gadbad ho rahi hai, aas paas ke log usse maarna chahte hain, koi peecha kar raha hai, darr lagne lagta hai, ghabraya hua dikhta hai, pariwaar waalo par shak veham hota hai, aisa lagta hai ki uske khaane me kisi ne zehar mila dia hai. Patient ko aisa mehsoos hone kagta hai hai jaise aas paas ke sab log usse he dekh rahe ho ya uski he baatein kar rahein ho. Kabhi kabhi patients ko kaano me kuch awaazein sunaai deni lagti hain jo aas paas kisi ko bhi sunaai nahi deti aur na he asliyat me hoti hain, inhe Auditory Hallusinations kaha jata hai. Patients ye awaazein sunkar khud se badbadaane lagta hai. Kabhi kabhi patients ko kuch dikhaai dene lagta hai jo baaki logo ko nahi dikhta, jinhe Visual Hallucinations kehta hain. Inke alawa patient ko kuch negative syptoms bhi hote hain jaise patient ka kisi bhi cheez me mann na lagna, kuch enjoy nahi karta, na kaam me, na padhaai me, patient akele he rehna chahta hai, usse na to khushi ka ehsaas hota hai -na dukh ka. Disorganised symptoms me patients me dekhe jaate hain jaise garmi me ghanto khade rehna, ajeeb tarah ke kapde pehn na, saaf safi ka dhyaan na rakhna, zameen se utha kar kuch kha lia. Aise lakshan agar ek maheene se zada bane rahe to isse Schizophrenia kaha jata hai.
Schizophrenia hone ke kai kaaran hote hai jaise Genetics, Brain me chemical imbalance ya chemical changes hona ya Schizoid personality hona.
Research ke anusaar ye bataya gaya hai ki Schizophrenia ka ilaaj sambhav hai. Isme sabse important role psychiatric medicines ka hota hai jo ki ek psychiatrist prescribe karta hai. Medicines se dheere dheere Schizophrenia ke lakshan me improvement hoti hai. Kabhi kabhi patients k lakshan zada severe ho jaate hai, to unhe hospital me admit karne ki zarurat bhi pad skti hai. Patients aur unke parivaar ko ye samajhna chahiye ki jitna jaldi vo doctor se consult karein aur medicines shuru karein, utni jaldi he Schizophrenia ke lakshan theek ho sakte hain.

#schizophrenia #schizofrenia #schizophreniaawareness #veham #shakki #mansikbimari #mansikrog #mentalhealth #drpraveentripathi


Facebook page:   / drpraveentripathipsy  
Instagram:   / drpraveentripathipsy  
Twitter:   / drpraveenpsy  

show more

Share/Embed