21 Ramzan Noha 2024 | Ali Bole Mera Waqt e Qaza Nazdeek Hai | Mola Ali Noha 2024 |Abbas Haider Lalji
Abbas Haider Lalji Abbas Haider Lalji
3.74K subscribers
5,898 views
140

 Published On Premiered Mar 29, 2024

21 Ramzan Noha 2024 | Ali Bole Mera Waqt e Qaza Nazdeek Hai Zainab | Mola Ali Noha 2024 | Abbas Haider Lalji Noha 2024 | Shahadat Mola Ali Noha 2024 | Imam Ali Noha 2024 / 1445

Noha Title - Ali Bole Mera Waqt e Qaza Nazdeek Hai Zainab
Reciter - Abbas Haider Lalji
Poet - Meesam Ali Mehdi
Composition - Syed Zaire Naqvi
Supporting Chorus - Rajab Ali Khan
Audio Mix & Master - Lawa Studio Karachi
Video Shoot - Saman Bentara
Edit - ZB Records
Special Thanks - Azakhana Safina e Panjatan Paak (a.s) Birmingham UK & Syed Ali Saif Jaffri &
Sherbanu Dhirani & Zahra Lalji


==============================

#21ramzan #imamali #newnoha2024 #abbashaiderlalji #imamalinoha #molaalinoha #molaali #yaali #hayeali #newnoha #noha #nohamolaali #nohamolaali #21ramzannoha #21ramzannoha2024 #shahadatmolaali

Find us on Social Media platforms:-

Facebook Page ➜   / ahl110​  
Instagram Page ➜   / abbashaider.  .

==============================

LYRICS:

Ali bole mera waqt-e-qaza nazdeek hai Zainab
Juda hone ka tumse marhala nazdeek hai Zainab

Mujhe woh saath le jaane jinaah se agayi hongi
Mere hujray mein yeh khushboo hai jo pheli hui unki
Mujhe lagta hai jaise Fatima nazdeek hai Zainab

Meri lakht-e-jigar mein bin tumhaare reh nahi sakta
Mere dil ka sukoon tum mujhse milne roz aajana
Yahaan se meri turbat ka pata nazdeek hai Zainab

Tum apne bhai ki mehnat ka sadqa yun utaaro gi
Hain jitne goud ke paale sabhi ko Sheh pe waaro gi
Teri qurbaniyon ka silsila nazdeek hai Zainab

Sitam ki hone waali dastaan ka hai yeh aaina
Hai sar par mere yeh ek waar mazhar terah zarbon ka
Bohot Kufay se dikhti Karbala nazdeek hai Zainab

Tera baba hai sharminda magar yeh din bhi aayenge
Mere dushman mere badle sitam tum se chukaayenge
Meri aulad hone ka sila nazdeek hai Zainab

Rida ko waar kar jab tegh khutbon ki chalaogi
Sar-e-darbaar chadar odhna tum mere lehje ki
Sharabi se tumhara saamna nazdeek hai Zainab

Faqat Ye Jurm Hoga Uska Ke Wo Choti Zahra Hai
Tamacha Usko Bhi Nazukh Se Rukhsaron Pe Khana Hai
Sakina Par Yateemi Ki Saza Nazdeek Hai Zainab

Yeh keh kar apni beti se Ali chup ho gaye Meesam
Khuda hafiz ke ab shaam-e-gharibaan mein milenge hum
Mere sine se phir lagna tera nazdeek hai Zainab

show more

Share/Embed