Old Noha - Lucknow: Ashoor Ko Jalte Khaimon Mein - JAnjuman Raunak e Deen e Islam, Lucknow
Old nohay with wording Old nohay with wording
22.3K subscribers
207,395 views
2.6K

 Published On Jan 30, 2014

Ashoor ko Jalte Khaimon Mein - Old nauha from Lucknow
Poet: Fazl Hussain Naqvi Lucknowi
Recited By: Janab Fazal Lucknowi - Anjuman Raunak e Deen e Islam
====
Ashoor ko Jalte Khaimon Mein, Kya janiye kya-kya choot gaya
Ghabra ke nikal aiyeN Baano, Besheer ka jhoola choot gaya
Ashoor ko ...

Noor aakhon ka Akbar le ke gaye, Nazron mein andhera choot gaya
Yuh laash uthaye Maula ne, Barchi mein kaleja choot gaya
Ashoor ko ...

Darya ke kanare mehmani, Aur band hai kismat se paani
Ay bahte maujon dekh to lo, Besheer bhi pyaasa choot gaya
Ashoor ko ...

Islam ki nazren dekh to ley, Imaan zara paichaan to ley
Yeh kaun hai Bibi Kufe mein, Yeh Kiska parda choot gaye
Ashoor ko ...

Saahil ke qareeb ghode se girey, Abbas ko jalti khaak mile
Shabbir ka daaman chhut na saka, Bahta hua darya choot gaya
Ashoor ko ...

Yeh para-para laasha hai, Shabbir ka jalti reti par
Peshaniye aalam jhukney ko, Ya khaak pa Kaba choot gaya
Ashoor ko ...

Chhey maa ke bacche ki himmat, Anjaam se nazreN takraye
Hoton par hasi lahrane lagi, Besheer ka rona choot gaya
Ashoor ko ...

Kya le ke gaye kya le jaate, Bano ko nishani de ke gaye
Ek khali jhoola choot gaya, Ek nanha sa kurta choot gaya
Ashoor ko ...

Yeh Fazl* e Hussaini shayrar ka, Shabbir se badh kar koi nahin
Maula ka bharosa jab se kiya, Duniya ka sahara choot gaya
Ashoor ko ...
=====
Please Comment / Like / Share / Subscribe.
You can download a BAYAAZ of all nauhas on this channel from:
https://archive.org/details/BayaazOfO...
Please Like my Official Facebook Page :   / oldnohay  

#OldNohay #NohaWordings #LucknowNauhas #LucknowAnjuman #QadeemiNauha #NauhaLyrics

show more

Share/Embed