नौहा | तेरा सेहरा ना देखा | Tera Sehra Na Dekha | Anjuman Sipahe Hussaini Bhanauli Sadat I Sultanpur
Paighame Azadari Paighame Azadari
48.4K subscribers
2,998,043 views
24K

 Published On Oct 8, 2018

Kalam :- Jb Waaez Hasan Sultanpuri Sb

Anjuman Sipahe Hussaini Other Nauha
1.) Tera Sehra Na Dekha
   • नौहा | तेरा सेहरा ना देखा | Tera Sehr...  

2.) Roke Zainab Ne Kaha Aye Mere Sher Abbas
   • नौहा | Roke Zainab Ne Kaha | अय मेरे ...  

3.) Lashe Qasim Ke Her Ek Tukde Se Aati Thi Sada,Mera Lasha Na Meri Maa Ko Dikhana Ammu
   • Lashe Qasim Ke Her Ek Tukde Se Aati T...  

4.) Nauha Mere Kadiyal Jawan Bete Ne Tera Kya Bigada Tha
   • Nauha Mere Kadiyal Jawan Bete Ne Tera...  

5.) Roye Dariya Pe Ye Keh Ke Shahe Huda Mere Bhai Ko Mujh Se Juda Ker Dia
   • Roye Dariya Pe Ye Keh Ke Shahe Huda M...  

6.) Zindaan Me Zainab Roti Hai Bhai Ka Pehla Chehallum Hai
   • Bhai Ka Pehla Chehlum Hai I Chehlum N...  

7.) Humse Kisi Ne Ye Bhi Na Poocha Ki Kya Hua
   • Humse Kisi Ne Ye Bhi Na Poocha Ki Kya...  

8.) Bhai Ki Qabr Pe Keh Rahi Thi Bahen Alvida Alvida
   • Alvida Noha | Bhai Ki Qabr Pe Keh Rah...  

9.) Haye Akbar Ki Maa Aa Rahi Hai
   • हाये अकबर की मां आ रही है। I Haye Akb...  

Lyrics

Kuch Soojhta Nahi Hai
Nazar Hai Dhuwan-Dhuwan
Aata Nahi Nazar Ki Hai Khaime Ka Dar Kahan
Fizza Sahara Do Ki Nikalti Hai Meri Jaan
Lekar Chalo Wahan Hai Mera Naujawan Jahan
Aayi Kareeb E Lashae Farzand Jab Numa
Sar Peet Peet Karti Thi Madar Yahi Bayan
Tera Sehra Na Dekha-Tera Sehra Na Dekha

Jawaan Ki Laash Pe Ye Bain Karti Reh Gayi Madar
Tera Sehra Na Dekha-Tera Sehra Na Dekha

Meri Aankhon K Taare Aye Mere Pyare Ali Akbar
Tera Sehra Na Dekha-Tera Sehra Na Dekha

Dil E Madar Me 18 Baras Se Ye Tamanna Thi
Mai Apne Haathon Se Ek Din Tujhe Doolha Banaungi
Teri Dulhan Ko Mai Apne Kaleje Se Lagaungi
Jo Mannat Maangi Hai Maine Wo Mannat Mai Badhaungi
Magar Kya Thi Khabar Roungi Mai Tere Janaze Par
Tera Sehra Na Dekha-Tera Sehra Na Dekh
Jawaan Ki Laash Pe Ye Bain Karti Reh Gayi Madar
Tera Sehra Na Dekha-Tera Sehra Na Dekh

Bade Arman The Dil Me Bahut Kuch Maine Socha Tha
Balayen Leke Aankhon Se Lagaungi Tera Sehra
Teri Barat Jab Ghar Se Chalegi Ae Mere Beta
To Mai Abbas Se Keh Doongi Parcham Ka Kare Saya
Magar Naa Jane Kisne BadNazar Dali Tere Upar
Tera Sehra Na Dekha-Tera Sehra Na Dekh
Jawaan Ki Laash Pe Ye Bain Karti Reh Gayi Madar
Tera Sehra Na Dekha-Tera Sehra Na Dekh

Mujhe Pardes Me Taqdeer Ne Ye Din Bhi Dikhlaya
Mai Zinda Reh Gayi Aur Mar Gaya Kadiyal Jawan Beta
Meri Aankhon Se Aye Akbar Dikhayi Kuch Nahi Deta
Mai Dekhun Bhi To Kaise Dekhu Tera Chand Sa Chehra
Are Toota Hai Gham Ka Aasma Dukhyari Madar
Tera Sehra Na Dekha-Tera Sehra Na Dekh
Jawaan Ki Laash Pe Ye Bain Karti Reh Gayi Madar
Tera Sehra Na Dekha-Tera Sehra Na Dekh

Kaleja Phat Gya Madar Ka Us Dam Aye Mere Jani
Suna Jis Dum Ki Tumko Marte Dum Bhi Na Mila Pani
Bade Berahem Hai Karbobala Me Zulm Ke Bani
Kisi Ne Haye Tasveere Mohammad Bhi Na Pehchani
Chalaya Zalimon Ne Haye Mere Qalb Pe Khanjar
Tera Sehra Na Dekha-Tera Sehra Na Dekh
Jawaan Ki Laash Pe Ye Bain Karti Reh Gayi Madar
Tera Sehra Na Dekha-Tera Sehra Na Dekh

Jawaan Farzand Ko Maa-Baap Se Khaliq Na Churdwaye
Ye Manzil Wo Hai Ki Dushman Ki Ankhon Me Bhi Asq Aaye
Kisi Ka Naujawaan Beta Sena Seene Pe Na Khaye
Zaieefi Me Jawaan Bete Ki Maiyyat Baap Na Laye
Hame Qismat Ne Dikhlaya Gaya Qayamat Khaize Ye Manzar
Tera Sehra Na Dekha-Tera Sehra Na Dekh
Jawaan Ki Laash Pe Ye Bain Karti Reh Gayi Madar
Tera Sehra Na Dekha-Tera Sehra Na Dekh

Padar Ki Bekasi Aye Lal Dekho To Zara Uth kar
Jhukaye Sar Bilakh Kar Ro Rahe Hai Sibte Paighambar
Sahara Kaun De Aakar Nahi Ab Moniso Yawar
Chacha Abbas Bhi Hote To Bazu Thamte Aakar
Tere Baba Bahot Rote Hai Aye Beta Yahi Kehkar
Tera Sehra Na Dekha-Tera Sehra Na Dekh
Jawaan Ki Laash Pe Ye Bain Karti Reh Gayi Madar
Tera Sehra Na Dekha-Tera Sehra Na Dekh

Shabe Ashoor Me Aake Dhadakta Hi Raha Akbar
Jalaye Shamma Bethi Thi Ye Teri Ghamzada Madar
Tere Gesu Me Suljhati Rahi Roti Rahi Shab Bhar
Meri Nazren Ruki Thi Raat Bhar Bas Tere Chehre Par
Ye Dar Tha Ho Gaya Tha Kal Juda Ho Jaoge Dilbar
Tera Sehra Na Dekha-Tera Sehra Na Dekh
Jawaan Ki Laash Pe Ye Bain Karti Reh Gayi Madar
Tera Sehra Na Dekha-Tera Sehra Na Dekh

Tumhare Bin Ali Akbar Kahin Na Chain Paungi
Tadapti Hi Rahoongi Umr Bhar Aansu Bahaungi
Tumhe Aye Yusufe Saani Bhala Kaise Bulaungi
Samajh Me Kuch Nahi Aata Ye Gham Kaise Uthaungi
Bhala Kaise Rakhungi Apne Dil Pe Ye Gham Ka Pathar
Tera Sehra Na Dekha-Tera Sehra Na Dekh
Jawaan Ki Laash Pe Ye Bain Karti Reh Gayi Madar
Tera Sehra Na Dekha-Tera Sehra Na Dekh

Jawaan Ki Lash Pe Waeiz Yahin Madar Ka Nauha Tha
Mujhe Pardes Me Lakar Meri Taqdeer Ne Loota
Mere Arman Mitti Me Mile Ujdi Meri Duniya
Teri Shadi Ki Hasrat Thi Magar Dekha Tera Lasha
Ye Gham Sehne Se Pehle Mar Gayi Hoti Teri Madar
Tera Sehra Na Dekha-Tera Sehra Na Dekh
Jawaan Ki Laash Pe Ye Bain Karti Reh Gayi Madar
Tera Sehra Na Dekha-Tera Sehra Na Dekh

#tera_Sehra_Na_Dekha
#sipahe_hussaini_nauhe
#Anjumansipahehussainibhanauli
#paighameazadari

Telecast On :- Paigham-E-Azadari Live

Channel Link :-    / @paighameazadari  

Paigham-E-Azadari Live
Email :[email protected]
Contact :- 9044774412

For More Azadari Programs Plz Like & Follow This Facebook Page.
Thank You For Support.

show more

Share/Embed