Dekhne ko ya Muhammad S.A.W | Nusrat fateh Ali Khan | fateh ali khan songs | Fadi's Studio
Fadi's Studio Fadi's Studio
18.3K subscribers
1,381,336 views
16K

 Published On Jul 6, 2018

Qawwali Name: Dekhne ko ya Muhammad S.A.W
Singer Name: Ustad Nusrat Fateh Ali Khan

--------------Qawwali Lyrics------------

Tazeem se leta hai khuda naam e muhammad
Kya naam hai e salle allah naam e muhammad

Allah kare uspe haraam aatishe do zakh
Jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad

Jis dil mein muhammad ki muhabbat nahi hoti
Us par kabhi allah ki rehmat nahi hoti

Mere ye aqeeda hai agar zikr khuda mein
Ye naam na shaamil hoibaadat nahi hoti

Khuda ka noor tujh mein hoo ba hoo hai
Khuda pinha roo ba roo hai

Teri azmat ka andaaza ho kisko
Khuda hai aur khuda ke baad tu hai

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi
Haan magar mehboob koi aap sa dekha nahi

Rasool aur bhi aaye zamaane mein lekin
Koi aap sa dekha nahi

Tumhara saani rasaalat mein aab ho na saka
Tumhara kahin bhi koi jawaab ho na saka

Rasool aur bhi aaye jahaan mein lekin
Koi bhi sahib e ummul ki taab ho na saka

Jisne dekhe nain matwale tere
Maston mein khud wo na ho to kya kare

Ik nazar jo dekh le kehta phire
Har har kundal kundal utte
Aashiq da dil dole
Husn tere di sifat ke aakhan
Kaafir kalma bole

Phire zamane mein chaar janib
Nigar e yakta tumhi ko dekha

Yun to isa bhi hain musa bhi hain yusuf bhi magar
Tumsa tumhi ko dekha

Dekha bahut nigah e talab ko mila nahi
Tumse tumhi ho tumsa koi doosra nahi

Haseen dekhe jameel dekhe
Par ek tumsa tumhi ko dekha

Roya shab e hijra mein nahut ashq bahaaya
Itne mein musavvir ko zara reham jo aaya
Nakshe kayin tasveeron ke wo saamne laaya
Bola ke ye yusuf hain ye isa hain ye musa
Maine kaha inmein se kisi par nahin shaida
Jab saamne laaya wo shabihe shaah e waala
Besaakhta us waqt zubaan se meri nikla

Mukh chand badar shah shaani e
Maththe chamke laat noorani e
Kali zulf te ankh mastaani e
Makhbool ankhi in mad bhariyan
Teri soorat nu main jaan aakhan
Jaan aage jaan jahaan akhan
Sach aakhan te rabb di shaan aakhan
Jis shaan ton shaanan sab baniyan
Subhanallah mah aasan ka mah akmal ka
Kithe mehar ali kithe teri sana
Gustaakh ankhi kithe jaa lariyan

Ik se ik badhkar haseen dekhe magar ya mustafa
Tumse badhkar husn wala doosra dekha nahi

Meem ka parda utha kar wo nigah e shauk se
Mustafa ko dekh le jisne khuda dekha nahi

Nusrat Fateh Ali Khan (13 October 1948 – 16 August 1997) was a Pakistani musician, primarily a singer of Qawwali, the devotional music of the Sufis. Widely considered one of the greatest voices ever recorded, he possessed an extraordinary range of vocal abilities and could perform at a high level of intensity for several hours. Extending the 600-year old Qawwali tradition of his family, Khan is widely credited with introducing Qawwali music to international audiences. He is popularly known as "Shahenshah-e-Qawwali", meaning "The King of Qawwali". Born in Faisalabad, Khan had his first public performance at the age of 16, at his father's chelum. He became the head of the family qawwali party in 1971. He was signed by Oriental Star Agencies, Birmingham, England in the early 1980s. Khan went on to release movie scores and albums in Europe, India, Japan, Pakistan and the US. He engaged in collaborations and experiments with Western artists, becoming a well-known world music artist. He toured extensively, performing in over 40 countries.

We are constantly working hard on making the “Fadi writes videos” better and more entertaining for you. We need your constant support to get going. Please feel free to Comment box for any queries/suggestions/problems or if you just want to say hello. We would love to hear from you. If you have enjoyed video, do not forget to Subscribe on YouTube and share among your friends


#FadiWrites #NusratFatehAliKhan #Dekhnekoyamuhammad(S.A.W)
#NusratFatehAliKhan #Nusrat #Fateh #Ali #Khan #Qawwalie

show more

Share/Embed