Dukhiyari zainab ke labon par tha noha | abbas teri zainab be parda hai
Zaidpur Azadari Zaidpur Azadari
1.51K subscribers
6,410 views
123

 Published On Aug 29, 2023

Dukhiyari zainab ke labon par tha noha | abbas teri zainab be parda hai #anjumansipahehussainibhanaulisadat #azadaribhanauli

Title - Aye Abbas Teri Zainab Be Parda Hai | New Noha 2023
Recited by - #anjumansipahehussainibhanaulisadat
Poet - Waiz Hasan sultanpuri
Edit & creatives - Ali Askari
Video - ‪@ZaidpurAzadari‬

Lyrics :-
Haye Ghazi haye haye Ghazi…2
Dukhyari Zainab ke labon par tha noha
Aye Abbas teri Zainab be parda hai….2
Le jaate hain qaid mujhe karke aada
Aye Abbas teri Zainab be parda hai

1..Suraj ne jis ko na dekha be parda
Usko nange sar dekhegi ab duniya
Waqt ye kaisa gurbat ka mujh par aaya
Aye Abbas teri Zainab be parda hai

2..Tu jab se ja kar dariya pe soya hai
Saara kunba khoon ke aansu roya hai
Jal gaye khaime chhin gayi chadar ghar ujda
Aye Abbas teri Zainab be parda hai

3..Jis ke aththara bhai the wo khwahar
Qaidi ban kar khati hai dar dar thokar
Mujhko moqaddar ne kar daala hai tanha
Aye Abbas teri Zainab be parda hai

4..Jab se suna hai aane wala hai bazar
Dard ke chalti hai mere dil par talwar
Waqt hai teri bahna ke mar jane ka
Aye Abbas teri Zainab be parda hai

5..Jab se suna hai aane wala hai bazar
Dard ke chalti hai mere dil par talwar
Waqt hai teri bahna ke mar jane ka
Aye Abbas teri Zainab be parda hai

6..ek jaisi hai maa aur beti ki gurbat
Dono ko darbar talak layi qismat
Farq hai itna parde me thi maa Zahra
Aye Abbas teri Zainab be parda hai

7..Aye Waiz ek hashr ka manzar tha us dam
Roke Ali ye kahti thi Zainab jis dam
Sar h khula balon se chhupaya h chehra
Aye Abbas teri Zainab pe parda hai

show more

Share/Embed